Mera kuchh nuksaan hua hai [Hindi]

Mera kuch nuksaan hua hai, mere shareer ka ek hissa aaj mujhse anjaan hua hai.
Deewaane apna dil aur parwaane apni izzat kho baithte hai, saththaa kho baithe raajnetaa sarkaar se uska muaawzaa aithhte hai.
Par mera jo khoya hai woh har haath ka ek angootha hai, tabhi to mere nuksaan ki maatra bhale kam ho par uska prakaar anoothha hai.
Do angoothhon ke na hone se kya antar padta hoga? Mere uljhe hue is jeevan me itna naganya vastu kya mantar padhta hoga?


Subah utthkar kiya gaya adhoora lagta naman, ya dantmanjan me kiya gaya anaavashyak shraman.
Nivaale ko thaali se muh tak ke safar me hui pareshaani, yaa paani peene ke ek haath ke kaam me do haathon ki kahaani.
Door khade dost ko “paanch mint thheher” bolne me mushkil, ya use yeh phone par soochit karne me hona naaqaabil.
Dil me kitna kuch dabaye hue bhi use na likh paane ki niraasha, ya qaamiyaabi ki raah me aate hue imtehaan na likh paane ki hataasha.


Shyaam ke waqt bansi ko hothon tak na laa paane ki bekasi, ya mridang ke naad me taakat ka “ta” ya dhrudta ka “dha” na baja paane ki bebasi.
Insaan ke udbhav ne use baahari cheezon ki qimmat karna to sikha diya, par behad zaroori cheezein pehchaanne ki qaabiliyat me, uska naam moorkho me likha diya.

Comments

Popular posts from this blog

Pratham bhool [Hindi]

What a day!`

Main Mahadev Hu Tera.. [Hindi]