Jo woh Ram mera, to Raavan bhi mera, Jo paap hai, woh mera, to Paavan bhi mera, Yeh Greeshma hai mera, aur Saavan bhi mera, Samudra ka saara jal, aur Himaavan bhi mera. Sunsaan ran jo mera, to sundar Van bhi mera, Shant aatma meri, to chanchal chitvan bhi mera Manushya, tera tan yadi mera, to Man bhi mera, Jo tera kiya hua uphaas mera, to tera stavan bhi mera. Tujhe di vaani hai meri, to hai shravan bhi mera, Teri vibhakti hai meri, to bahulikaran bhi mera, Tera janm jo mera, to tera patan bhi mera, Jo tujhe mila parinaam mera, to uske liye kiya yatan bhi mera. Yadi tera ahamkaar mera hai, to tera naman bhi mera, Teri vidai bhi meri, aur tera aagaman bhi mera, Antariksh me behta aalok mera, to dharti pe pavan bhi mera, Aur yadi yeh Shakti hai meri, to Sri aur Brahman to mera hi mera!